DK Technical Mate

Free · Bina login · Hindi me madad

PDF edit karo,
print kiye bina.

Text badlo, signature lagao, form bharo, photo jodo. Sab kuch seedha browser me, aur badla hua text usi font me jo PDF me pehle se tha.

  • ✔PDF ka likha text badlo
  • ✔Signature draw ya upload
  • ✔Form type karke bharo
  • ✔Page ghumao ya hatao

ya PDF yahan khinch ke chhod do

Login nahi · 50 MB tak · 2 ghante me file delete

3 step me PDF edit

  1. 01

    PDF daalo

    Button dabake file chuno ya khinch ke chhod do.

  2. 02

    Click karke badlo

    Text par click karo ya upar se Sign, Forms, Images jaisa tool chuno.

  3. 03

    Download karo

    "Apply changes" dabao, nayi PDF taiyaar.

Yahan PDF edit kyun karein?

Login ka jhanjhat nahi

Site kholo, PDF daalo, kaam shuru. Email ya mobile number nahi maanga jaata.

Font wahi rehta hai

Badla hua text document ke apne font me aata hai, alag se chipka hua nahi lagta.

Phone par bhi

Kisi bhi phone ya laptop ke browser me, kuch install nahi karna.

File apne aap delete

2 ghante baad aapki file server se hat jaati hai, chaho to turant bhi.

PDF me text edit kaise kare? (seedha jawab)

Upar wale button se PDF upload karo. Jo shabd ya number badalna hai us par click karo aur naya likho. Font, size aur bold wahi rehte hain. Aakhir me "Apply changes" dabao aur nayi PDF download kar lo. Iske liye na login chahiye, na koi app.

Kis kaam nahi aayega?

Scan ki hui PDF ke shabd nahi badalte, kyunki scan ek photo hota hai. PDF jodna (merge), todna (split) ya size chhota (compress) karna abhi yahan nahi hota.

Aksar puchhe jaane wale sawal

Kya PDF edit karna free hai?+

Haan, 50 MB tak ki PDF bilkul free me edit kar sakte ho. Account ya login ki zarurat nahi.

Meri file safe hai?+

Aapki file sirf edit ki hui PDF banane ke liye use hoti hai aur 2 ghante me apne aap delete ho jaati hai. Download page par "Delete files" dabake turant bhi hata sakte ho.

Text badalne par font badal jaayega?+

Nahi. PDF me jo font laga hai wahi dobara use hota hai. Koi akshar us font me na ho to sirf us akshar ke liye milta-julta font lagta hai.

Mobile se PDF edit kar sakte hain?+

Haan, Android ya iPhone ke browser me site kholo. Lambe documents ke liye laptop zyada aasaan rehta hai.

Scanned PDF ka text badal sakte hain?+

Nahi, scan ek photo hoti hai. Uske upar naya text, photo, signature ya whiteout zaroor laga sakte ho.

Kya app download karna padega?+

Nahi, sab kuch browser me chalta hai: Chrome, Edge, Firefox, Safari.

PDF merge, split ya compress hogi?+

Abhi nahi. Yahan PDF ka text, signature, form, photo aur pages (ghumana, hatana, khaali page jodna) ka kaam hota hai.

Galti ho jaaye to?+

Undo button ya Ctrl+Z dabao. Redo ke liye Ctrl+Shift+Z.

Video me seekhna hai? YouTube par DK Technical Mate dekho.